Anubhav: Bhootkal me ki gayi galtiyon ka dusra nam.
Avsarwadi: Wah vyakti jo nadi me galti se gir pade to nahana shuru kar de.
Kanjoos: Wah vyakti jo zindagi bhar garibi me rehta hai taaki ameeri me mar sake.
Apradhi: Duniya ke baki logon jaisa hi ek manushya sivay iske ki wah pakda gaya hai.
Adhikari: Wah jo apke pahuchne ke pehle office pahunch jata hai aur yadi aap jaldi pahunch jaye to kaafi der se aata hai.
Samjhauta: Kisi cheez ko bantne ka wah tareeka jisme har vyakti samajhta hai ki use bada hissa mila.
Conference room: Wah sthan jahan har vyakti bolta hai koi nahin sunta hai aur ant me sab asahmat hote hain.
Param anand: Ek aisi anubhuti jab aap anubhav karte hain ki aap ek aisi anubhuti ko anubhav karne ja rahe hain jo aapne pehle kabhi anubhav nahin ki hai.
Shreshth pustak: Jiski sab prashansa karte hain par padhta koi nahin hai.
Karyalay: Wah sthan jahan aap ghar ke tanavo se mukti pakar vishram kar sakte hain.
Samiti: Aise vyakti jo akele kuch nahin kar sakte parantu ye nirnay milkar karte hain ki sath sath kuch nahi kiya ja sakta.




